
Mere doston ummid karta hun aap sab log achchhe honge aur apni zindagi ko bharpur tariqe se ji rahe honge .. Ye muhabbat ka mousam hai jo hum logon ne apne haanthon se banaya aur jiska ant 14 Feb ko hona hai.. lekin mohabbat ka wah mousam jo qudrat ne hamare dilon ke andar basaya hai wah kabhi khatm nahi ho sakti us mohabbat ke liye to har ek pal khushnuma mousam hai ek khoobsurat EHSAAS hai jsme insaan apna sudh budh kho baithta hai aur uske saame apni Mohabbat hi nazar aati hai. Jaante ho dost jab koi insaan kisi ko chaahta hai usse tut kar muhabbat karta hai …. Aur badnasibi se wah use nahi mil paati aur kembakht ye duniya bhi use apne aagosh me lene se inkaar kar deti hai to …. Wah insaan hamesa pyaasa rahta hai ….bilqul us Registaan ke musaafir ki tarah jo itna pyaasa rahta hai ki Use Registan ke ret ki chamak par paani ka ghumaan hota hai …. Par waah ri qismet wah bechara yehan se wahan bhatakta rahta hai lekin uski pyaas nahin bujhti ….
sending by.pooja.
